sar peth ke yeh bano ne kaha aaja ali asghar raat huwi
tadpata hai khali jhula aaja ali asghar raat huwi
1.tanhayi tujhe tadpayegi aur neend tujhe na ayegi
har simt hai run mein andhiyara aaja ali asghar raat huwi
2. maidan ko jo noor-e-ayen gaya dil ka bhi mere sukh chain gaya
baqi na raha jeene ka mazaa aaja ali asghar raat huwi
3. gham ka hai asar nazaron me matam hai bapa gham kharon me
hain nouha kuna dhadkan ki sada aaja ali asghar raat huwi
4. qaimoun mein hamare aag lagi chadar bhi hamare sar se chini
ab kaun madad ko ayega aaja ali asghar raat huwi
5. kis tarha se dekhon yeh manzar hai nok-e-sina par tera sar
chalta hai mere dil par bhala aaja ali asghar raat huwi
6. wo teer jo tujh se bhari tha us teer se tera halq chida
yeh sonch ke dil phatta hai mera aaja ali asghar raat huwi
7. tujh bin hai har ek manzar suna aghosh hai suna ghar suna
gehwara bhi hain suna-suna aaja ali asghar raat huwi
8. gham asghar ka na bhul saki yeh haal tha bano ka razvi
ta umr yeh lab par tha nauha aaja ali asghar raat huwi