shey kehte they zainab se darbar mein jana hai
….nana se kiya wada….
nana se kiya wada har haal nibhana hain
wada jo nibhana hain …… wada jo nibhana hain
1. hum aale payambar hain duniya ko batana hain
hyder ki khitabat ko phir yad dilana hain
darbar mein aye zainab… khudba bhi sunana hai
wada jo nibhana hain …… wada jo nibhana hain
2. bhai ki nishani bhi kal khoon mein nahayegi aur laash bhi qasim ki khaime mein na ayegi
haan laash ke tukdon ko.. chun chun ke uthana hain
wada jo nibhana hain …… wada jo nibhana hain
3. hum laash-e-jawan lekar maqtal se jo aayenge
maqtal mein jo guzri hain laila ko sunayege
laasha ali akbar ka … laila ko dhikhana hain
wada jo nibhana hain …… wada jo nibhana hain
4. dariya se na lautega wo rashke qamar zainab
bhai ki judayee se tutegi kamar zainab
abbas-e-ali ka bhi….ab daagh uthana hain
wada jo nibhana hain …… wada jo nibhana hain
5. chut jayega karbal mein asghar sa pisar zainab
katjayega sine mein bano ka jigar zainab
ek qabr pasey qaima ….. asghar ki banana hain
wada jo nibhana hain …… wada jo nibhana hain
6. nana ke khazane ko karbal mein luta denge
ummat ke liye zainab hum sarko kata denge
karbal ki zameen zainab…..ab apna thikana hain
wada jo nibhana hain …… wada jo nibhana hain
7. seene pa mere dekho jab shumr-e-layeen hoga
gardan pa rawan meri jab khanjar-e-keen hoga
dekhe na meri bachi… manzar wo chupana hain
wada jo nibhana hain …… wada jo nibhana hain
8. chine gaye gohar bhi khoon rista hai kanon se
rukhsaar hain sub neele zalim ke tamachon se
ummat ke sitam sare ….nana ko sunana hain
wada jo nibhana hain …… wada jo nibhana hain
9. kamsin hain magar phir bhi har zulm wo sehlegi
zindan se na uthegi maiyat meri bachi ki
zinda mein sakina ka……ta hashr thikana hain
wada jo nibhana hain …… wada jo nibhana hain
10. kat jayega sab kunba jaljayega sab ghar bhi
bandhege rasan zalim chinjayegi chadar bhi
bazaron mein chehre ko…..balon se chupana hain
wada jo nibhana hain …… wada jo nibhana hain
11. yeh hashmi sarwat ne roro ke likha nouha
kyun kar na padhe logo dil se yeh raza nouha
har haal mein insabka karbal mein thikana hain
wada jo nibhana hain …… wada jo nibhana hain