tarjuman e seerat e aale aba zainab hui
shaahra e ehkaam e deen e mustufa zainab hui
nasir e paigham e shaahe karbala zainab hui
har shaheede farz ne sidq o safa ki sharha ki
zohr tak abbas ne lafze wafa ki sharha ki
din dhala to shaahra e lafze wafa zainab hui
rehnuma e ahle tasleem o raza shabbir thay
khoon ke darya mein beshak nakhuda shabbir thay
aag ke darya mein lekin nakhuda zainab hui
deeda e ahle sitam par ek parda aa gaya
teergi may baal bikhraye andhera cha gaya
moondhli suraj ne aankhein berida zainab hui
khutba kufe mein diya bandhwadi ashkon ki jhadi
aur yuhin shaam ke darbar may majlis padhi
haq to ye hai baani e rasme aza zainab hui
bediyan zainab ne pehni aasman tharra gaya
waqt ke maathe pe ghairat ka pasina cha gaya
faatahe har manzil e sabr o raza zainab hui
bhet di kis khush dili se apne dono laal ki
is jahan may maadarana sabr o isteqlaal ki
ibteda ki haajira ne inteha zainab hui
jis tarha sheh khwaab e paighambar ki tafseer e jaleel
jis tarha abbas armaan e ali yuhin jameel
paikar e khaaki may zehra ki dua zainab hui