utha koi janaza phir sayyeda ke ghar se
hasrat baras rahi hai ek ek baam o dar se
ye kisko ro rahi hai zainab tadap tadap kar
jannat may sayyeda ne chadar gira di sar se
utha koi janaza…
jisne khuda ke ghar ko bakshi thi aa ke zeenat
wo aaj ho raha hai ruqsat khuda ke ghar se
utha koi janaza…
hai bandh aankh shayad aaram aa gaya hai
maula tadap rahe thay unnees ki sehr se
utha koi janaza…
zainab ke baazu'on ko shabbir choomte hai
kya jaaniye ali ne kya keh diya pisar se
utha koi janaza…
qaatil ko apne thanda sharbat pilane waala
bechain ho raha hai khud zehr ke asar se
utha koi janaza…
koofe ka zarra zarra rota hai khoon ke aansu
mehroom ho rahe hai hasnain ab pidar se
utha koi janaza…