Kanz e Aza

Uthaate hain Abid sakina ka lasha

A noha for Shehzadi Sakina (s.a) (2023). Lyrics in Roman Urdu.

Sakina...(4)


Innalillah Innalillah...(2)

Chale aao abbas Dene ko kandha (2)

Uthate hai aabid sakina ka lasha..

Chale aao abbas Dene ko kandha..

Uthate hai aabid sakina ka lasha..


Qayamat hai zindaan mein Aaj barpa (2)


Uthate hai aabid sakina ka lasha..

Chale aao abbas Dene ko kandha

Uthate hai aabid sakina ka lasha


1. Hai dastoor ye parde daroon ke ghar ka

Ye beti ka lasha hai shab mein uthega (2)

Sitaro se kehdo ke karde andhera


Uthate hai aabid sakina ka lasha


2. Falak hil raha hai zameen kaapti hai

Labon par musafir ke nade ali hai (2)

Imamat ke hathon mein hota hai larza


Uthate hai aabid sakina ka lasha


3. Gale se lagale bhen ko uthale

Janaze ko sajjad kaise sambhale (2)

Hai dhiyaan iski tooti huyi pasliyon ka


Uthate hai aabid sakina ka lasha


4. Dua kar Rahi thi musalsal qaza ki

Badi aarzu thi isse karbala ki (2)

Chali apne baba se Milne ko dukhiya


Uthte hai aabid sakina ka lasha


5. Woh kehti thi kab Ghar ko jaenge Bhai

Ye hasrat qaza bhi mitane na payi (2)

Madine ki janib hai dukhiya ka chehra


Uthate hai aabid sakina ka lasha


6. Usse kya khabar thi ke aise lutegi

Na beta rahega na beti rahegi (2)

Nikal Jaye dam hi na asgar ki maa ka


Uthate hai aabid sakina ka lasha


7. Watan mein garibul watan woh ali tha

Hai pardes mein ye ali besahara (2)

Uthaya tha haider se Zahra ka lasha


Uthate hai aabid sakina ka lasha


8. Takallum ye maiyat hai bekas behen ki

Qamar jhuk Rahi hai qaribul watan ki (2)

Bahattar janazo se bhari janaza


Uthate hai aabid sakina ka lasha

Innalillah Innalillah....