uthaye huwe godh mein sar pidar ka
sakina ye kehti thi le kar balayein
sunaati hoo mai qaid khane ki baatein
mujhe aap maqtal ki baatein sunayein
labon pe chadi aap ke jab lagi thi
mai darbar mein saamne hi khadi thi
lagaye tamache mujhe jab shaqi ne
nazar aap ki meri jaanib uthi thi
ye sab neel chehron ke shahid hai kaise
hamein shaam waalon ne di hai sazayein
uthaye huwe godh mein...
mai naaqe pe thi aap naize pe baba
mere paas se sar kabhi jo guzarta
mai naaqe se khud ko zameen par giraati
layeen aa ke baalon se mujhko uthaata
mera kaun tha jisko awaaz deti
kise kehti zaalim se aa kar bachayein
uthaye huwe godh mein...
rasan ek thi aur baara galay thay
yun hum log bazaar mein chal rahe thay
mai kamsin thi humraah chalna tha mushkil
so ek mod pad gir padi ladkhadake ke
badi mushkilon se uthaaya phupi ne
layeeno ki khwahish thi bas rondh jaayein
uthaye huwe godh mein...
musalsal sitam kar rahe thay sitamgar
bahot khush thay wo kaat kar aap ka sar
ajab aag thi shaam waalon ke dil mein
na thanda hua dil jo khanjar chala kar
sataya hai yun aap ko zaalimon ne
wahin sar rakha rakhi jis jaa ridayein
uthaye huwe godh mein...
kahin thi mai qaidan kahin thi yateema
naye shehr mein naam mera naya tha
safar ne mujhe itne alqaab bakshe
ke mai bhool baithi thi khud naam apna
mai ye saare dukh bhool jaaungi baba
sakina jo ek baar keh kar bulayein
uthaye huwe godh mein...
lehad mein ye baba se boli wo akbar
mujhe yaad hai karbala ka wo manzar
ke seene pe thay teer paywast har jaa
mai kis tarha soungi zakhmon ke upar
mai kehti nahi mujhko seene lagayein
mujhe aaj bas khaak par hi sulayein
uthaye huwe godh mein...