shaam se laut ke aaye hai madine waale
veeran gharon mein qaid se yun wapasi hui
koi dya jala na kahin roshni hui
ye haal ke betiyan pehchaanti nahi
zainab khud apne ghar mein bhi ab ajnabi hui
veeran gharon mein qaid se...
zainab ke baazuon pe ye neele nishan hai
ya phir rasan hai haathon mein ab tak basi hui
veeran gharon mein qaid se...
akbar shaheed hogaye lekin wo intezar
sughra hai ek waade se ab tak bandhi hui
veeran gharon mein qaid se...
mehmil to jaake laut bhi aaye hai shaam se
ek maa ki zindagi hai wahin par ruki hui
veeran gharon mein qaid se...
naize se jo utaari thi shimr e layeen ne
zainab ke khoon se hai wo chadar bhari hui
veeran gharon mein qaid se...
nanhi si baaliyon pe lahoo se likhi hai wo
jo baat thi sakina ke rukh pe likhi hui
veeran gharon mein qaid se...
akbar saron pe karbobala ki jo khaak thi
us par hai qaid khane ki matti jami hui
veeran gharon mein qaid se...