Kanz e Aza

Wo Khoon Ro ke

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Hasnain Akbar. Lyrics in Roman Urdu.

wo khoon ro ke ye kehta raha zamane se

ridayein cheeno na logon mere gharane se


sawaal e aab pe sone pe us ke rone pe

wo maarte thay sakina ko har bahaane se

wo khoon ro ke...


sulaaya jaata tha behosh kar ke durron se

jagaya jaata tha abid ko taziyane se

wo khoon ro ke...


bulaye kis tarha abbas ko madad ke liye

wo berida thi jhijhakti rahi bulaane se

wo khoon ro ke...


kaha ye ganje shaheedan may baap ke sar ne

mujhe sakina bulaati hai qaid khaane se

wo khoon ro ke...


kuch is tarha sar e karbobala wo ujde thay

ke darr rahe hai abhi tak wo ghar basaane se

wo khoon ro ke...


rida e saani e zehra may dhal gaya akbar

ghubaar utha jo laashon ke thar tharaane se

wo khoon ro ke...