Ye Sakina Ka Bayaan Hai
ye Sakina Ki Fughaan Hai
aake Ab Dekho Chacha Jaan Mere Rukhsaare
ya Ali Kehne Pe Zaalim Ne Tamache Maare
01. Chadare Sab Ki Bachane.ab Chale Aao Chacha
sab Yateemo Ko Manane.ab Chale Aao Chacha
bhuke Pyase Hee Phiraye Gaye Gham Ke Maare
ya Ali Kehne Pe Zaalim Ne Tamache Maare
02. Bhai Mohtaaj E Kafan Hai.kaisa Ye Zulm Hua aur Majboor Behen Hai.kaisa Ye Zulm Hua
lutgaya Maal Sabhi Ham Hogaye Ham Bechare
ya Ali Kehne Pe Zaalim Ne Tamache Maare
03.kaisa Ummat Ka Chalan Hai.kia Yehi Pursa Hai
meri Gardan Me Rasan Hai. Kia Yehi Pursa Hai
mai Sada Deti Rahi Ham Hai Madine Wale
ya Ali Kehne Pe Zaalim Ne Tamache Maare
04. Koun Ab Naaz Uthaye.koun Imdaad Kare
taziyano Se Bachaye.koun Imdaad Kare
khaak Me Milgaye Sab Naaz Uthane Wale
ya Ali Kehne Pe Zaalim Ne Tamache Maare
05. Saara Ghar Baar Lutaya.aye Khuda Tere Liye
shaah Ne Sar Ko Kataya. Aye Khuda Tere Liye
dasht Me Sote Hai Yasrab Ke Gharane Wale
ya Ali Kehne Pe Zaalim Ne Tamache Maare
06. Koofiyo Yun Na Satao.ham Kisa Wale Hai
ham Ko Paththar Nahi Maaro.ham Kisa Wale Hai
ham Pe Barsaye Gaye Sang Bane Angaare
ya Ali Kehne Pe Zaalim Ne Tamache Maare