Kanz e Aza

Baba Ke Liye Roti Hai Yu Fatima Sughra suna hai madina

A noha for Shehzadi Sugra (s.a), recited by Anjuman e Aon o Mohd. Lyrics in Roman Urdu.

Suna Hai Madina Suna Hai Madina

baba Ke Liye Roti Hai Yu Fatima Sughra

01. Ghar Chod Gaye Hai Mera Dil Tod Gaye Hai

ghar Waale Nahi Ghar Me To Ab Kahe Ka Jeena


02. Beemar Ko Hamraah Jo Lejate Baradar

rehti Mai Kaneezi Me Jo Kehdeti Sakina


03. Kunbe Se Juda Hone Se Ye Haal Huwa Hai

che Saala Zaeefa Mujhe Kehta Hai Zamana


04. Asghar Bhi Nahi Kaise Dil Behlaaye Gi Sughra

hai Kaam Mera Khaali Ek Jhule Ko Jhulana


05. Ye Chaand Muharram Ka Q Rulwata Hai Mujhko

dil Doobta Jata Hai Ye Kaisa Hai Mahina