Kanz e Aza

Bhaiya Tum Laut ke

A noha for Shehzadi Sugra (s.a), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

bhaiya tum laut ke ke kab khair se ghar aaoge

waada karte to ho kya is ko nibha paoge


jab se pardes gaye aayi nahi des ki yaad

kya tumhe khat se bhi pahunchi nahi meri faryad

kitne din aur mujhe des mein tarsaoge

bhaiya tum laut ke...


ek behan saath mein hai phir meri yaad aayegi kyun

tum ko kya gham hai alaalat mein jiyun ya ke marun

mai agar mar gayi tum bhi nahi jee paoge

bhaiya tum laut ke...


chand hi roz ko zinda hai tumhari behna

kaisi naraazgi bemaar behan se bhaiya

kab naya eid ka joda mujhe dilwaoge

bhaiya tum laut ke...


maine ro ro ke guzaare hai khushi ke mausam

yaad mein aankh hui bhai meri khoon se nam

dil ki takleef meri tum na samajh paoge

bhaiya tum laut ke...


log diljoyi kiya karte hai bemaaron ki

haath rakhta nahi sar par mere bhaiya koi

ye na samjhi ke tum bhi mujhe rulwaoge

bhaiya tum laut ke...


nagaah ek khabar doshe hawa par aayi

khaa ke seene pe sina mar gaya sughra bhai

ab nahi kehna ke kab khair se ghar aaoge

bhaiya tum laut ke...


kaise tehreer ho rehaan o raza haye wo baat

tashnalab maare gaye karbobala mein sadaat

farshe majlis pe bayan kar ke tadap jaaoge

bhaiya tum laut ke...