dasht e karbala mein jaan e syeda par
chal raha tha khanjar dasht e karbala mein
apne dil ko thaame bekasi se khwahar
dekhti thi manzar dasht e karbala mein
jis ghadi wo pyasa kar raha tha sajda
dhoop se lipat kar ro raha tha saaya
har taraf udaasi chaa gayi thi aisi
ro diye payambar dasht e karbala mein
dasht e karbala mein...
gham zada hawayein khoon fisha fizayein
bewatan musaafir ab kahan ko jaaye
jal chuke hai qaime lootne ko chadar
aa gaya tha lashkar dasht e karbala mein
dasht e karbala mein...
be kafan thay laashe lashkar e khuda ke
khoon ubal raha tha ban mein karbala ke
goonjta tha nauha binte murtuza ka
lut gaya mera ghar dasht e karbala mein
dasht e karbala mein...
kya kare sakina zakhmi hai wo seena
neend kaise aaye ay shah e madina
khaa chuki tamache shimr behaya ne
cheene mere gohar dasht e karbala mein
dasht e karbala mein...
loriyan kise de bezaban ki maadar
lab pe har ghadi hai haye haye asghar
jal gaya hai jhoola ye sitam hai kaisa
dhoondti hai maadar dasht e karbala mein
dasht e karbala mein...
jab sitam ki barchi naujawan ne khaayi
ek sada e gaibi aasmaan se aayi
sabr kar le zainab is jawan ko apne
dil pe rakh ke pathar dasht e karbala mein
dasht e karbala mein...
qasim e jawan ka tukde tukde laasha
jab aba mein chun kar laaye mere maula
aasman roya tha zameen ko sakta
dekh ke ye manzar dasht e karbala mein
dasht e karbala mein...
ek bureeda baazu alqama kanare
naam par wafa ke apna khoon baha ke
keh gaya jahan se ashk e khoon fisha se
mai hoo aaj hyder dasht e karbala mein
dasht e karbala mein...
nasir e shah e deen khuld ke thay raahi
ay rehaan is ki kyun na doon gawahi
jaan nisaar saare apni jaan haare
ibne murtaza par dasht e karbala mein
dasht e karbala mein...