dekha jo zer e taygh gala apne bhai ka
dil paash paash hogaya zehra ki jaayi ka
kehti thi ro ke zainab e khasta jigar figaar
mushkil kusha ye waqt hai mushkil kushai ka
dil paash paash hogaya zehra ki jaayi ka
dekha jo zer e taygh...
karke muqatib akbar e mehru ko bole sheh
beta khayal rakhna zara chote bhai ka
dil paash paash hogaya zehra ki jaayi ka
dekha jo zer e taygh...
tukde jo dekhe hazrate qasim ki laash ke
sarwar ko yaad aaya jigar apne bhai ka
dil paash paash hogaya zehra ki jaayi ka
dekha jo zer e taygh...
bano ye kehke qabr e sakina pe gir gayi
utho sakina hukm mila hai rehaai ka
dil paash paash hogaya zehra ki jaayi ka
dekha jo zer e taygh...
jis tarha se luta hai bhara ghar hussain ka
dekha na phir falak ne wo manzar tabaahi ka
dil paash paash hogaya zehra ki jaayi ka
dekha jo zer e taygh...
hai dosh par hussain ke kadiyal jawan ki laash
dil thar'thara raha hai khuda ki khudaayi ka
dil paash paash hogaya zehra ki jaayi ka
dekha jo zer e taygh...
bad kar galay se apne ajal ko laga liya
dekhe to hausla koi nanhe sipahi ka
dil paash paash hogaya zehra ki jaayi ka
dekha jo zer e taygh...
logon ne aaj zikre shahe mashraqain ko
kawish bana liya hai waseela kameini ka
dil paash paash hogaya zehra ki jaayi ka
dekha jo zer e taygh...