Kanz e Aza

Deti Hai Zehra Sada Nainawa Ke Ban Main

A noha for Imam Hussain (a.s), recited by Anjuman e Shaidae Ali Asghar. Lyrics in Roman Urdu.

Deti Hai Zehra Sada Nainawa Ke Ban Main

Hai Mera Ghar Lutgaya Nainawa Ke Ban Main

Jafar-o- Hyder The Wo Meri Zainab Ke Pisar

Hogaye Haq Par Fida Nainawa Ke Ban Main


Lash-e- Qasim Ke Sath fatima Kubra Ka Bhi

Qalb Tukde Hogaya Nainawa Ke Ban Mei

Haye Mera Abbas Ne Yon Kiya Zabth-e- Vega

Hogaye Bazu Juda Nainawa Ke Ban Mei


Thokaren Khata Hai Ranme Baap Aye Akber Tera

Khake Barchi Tho Gira Nainawa Ke Ban Mei

Qushk Hotoun Par Zabaa Pheri Jo Besheer Ne

Chid Gaya Nanha Gala Nainawa Ke Ban Mei


Meri Godi Ka Pala Haye Mera Wo Ladla

Qatl Pyasa Hogaya Nainawa Ke Ban Mei

Khoon Roya Asmaa kaap Uthi Yeh Zamee

Jab Kata Sukha Gala Nainawa Ke Ban Mei


Para Para Hogaya Lashe Shabbir Ya

Kabey Sabro Raza Nainawa Ke Ban Mei

Zainab-o- Kulsum Ne Baloun Se Parda Kiya

Chingayi sar Se Rida Nainawa Ke Ban Mei