dil ki zaban pe naam rahega hussain ka
har ashk e gham sunayega nauha hussain ka
chalti hui galay pe hai shimr e layeen ki taygh
wo rayghe karbala pe tadapna hussain ka
dil ki zaban pe...
laashe rasool karwate leti thi qabr mein
jalti hui zameen pe tha laasha hussain ka
dil ki zaban pe...
phirta hai apni aankhon mein jannat liye huwe
dekha hai jis kisi ne bhi rauza hussain ka
dil ki zaban pe...
us aadmi se poochiye azmat namaz ki
hai jisko yaad aakhri sajda hussain ka
dil ki zaban pe...
hone ko hai hussain ke lashkar ka khatema
aata hai ran mein aakhri fidya hussain ka
dil ki zaban pe...
allah wo naqahate peeri ke ba-wajood
akbar ki laash ran se uthana hussain ka
dil ki zaban pe...
apno ka zikr kya hai tabarruk ke naam se
khaate rahenge ghair bhi sadqa hussain ka
dil ki zaban pe...
kya saqt imtehan thay sibte rasool ke
aasan nahi tha ghar ko lutana hussain ka
dil ki zaban pe...
seene pe hai hussain ke shimre layeen sawaar
jibreel ne jhulaya tha jhoola hussain ka
dil ki zaban pe...
yaade hussain ban gayi zainab ki kayenaat
ankhon mein phirta rehta hai chehra hussain ka
dil ki zaban pe...
maula madad ko aaiye apne hussain ki
koi nahi hai bekas o tanha hussain ka
dil ki zaban pe...
hum ko viqar khoon ke aansoo rulayega
qabre nabi pe ashk bahana hussain ka
dil ki zaban pe...