dunya may aaj hashr ka din aashkaar hai
sibte nabi ke seene pa qatil sawaar hai
mar jaunga mai aap hi ab thodi dayr may
qaalib may rooh ka koi dam ko qaraar hai
dunya may aaj hashr ka...
unees sau hai taygh o sinaan o tabar ka zakhm
sang e sitam ke khoon se badan laal zaar hai
dunya may aaj hashr ka...
hai zalzala zameen ko gehn may hai aaftab
baarish hai khoon ki chashme falak ashk baar hai
dunya may aaj hashr ka...
chilla rahi hai qaime se zainab utar layeen
bhai ka mere zakhm se seena figaar hai
dunya may aaj hashr ka...
kehte thay shaah shimr se mujhko na zibha kar
dunya hai chand roz ka kya aetbaar hai
dunya may aaj hashr ka...
quran hai saaf seena ye baith'ta hai jis pe tu
bosagah e rasool pe khanjar ki dhaar hai
dunya may aaj hashr ka...
hai an-khareeb phoonke sarafeel soor ko
bas hukme kibriya ka faqat intezaar hai
dunya may aaj hashr ka...
ab aage kar bayan na anees e jigar figaar
ye din wo hai ke saara jahan ashk baar hai
dunya may aaj hashr ka...