hayya alal azaa hayya alal buka
hussain ya hussain maula hussain hussain
zabt e girya matam e sarwar may ho sakta nahi
sar jhuka kar baith jo majlis may ro sakta nahi
haq e girya hum azadaro se hoga kya ada
abr ka tukda samandar ko bhigo sakta nahi
zabt e girya...
munkir e matam ke maathe par hai wo daaghe siyaah
aab e zam zam se wazoo bhi jisko dho sakta nahi
zabt e girya...
aatish e dozakh bujha deta hai jab ashk e aza
kya ye aansu zulm ki dunya dubo sakta nahi
zabt e girya...
karwatein jalti zameen par sheh ki jisko yaad hai
roz e ashura to wo bistar pe so sakta nahi
zabt e girya...
shaah kehte thay ye dunya bhi hai ibrat ki jagah
mar gaya beta jawan aur baap ro sakta nahi
zabt e girya...
nazm hai ye ya dure shehwaar ki ladiyan anees
jauhari bhi is tarha moti piro sakta nahi
zabt e girya...