Ek Maa Ki Ye Sada Hai Mera Laal Beqatha Hai
Nazoun Se Yeh Pala Hai Mera Laal Beqatha Hai
Pehro Na Aise Qanjar Pani Isse Pilaoo
Sukha Hua Gala Hai Mera Laal Beqatha Hai
Zainab Ke Dularoun Ka Matam Bhi Kiya Isne
Farzand-e-Murtuza Hai Mera Laal Beqatha Hai
Kuch Rehem Is Pe Khao Pyase Ko Na Satao
Yeh Sibte Mustafa Hai Mera Laal Beqatha Hai
Zaqmoun Se Choor Hai Ye Laashe Utha Utha Kar
Zaqmi Yeh Ho Gaya Hai Mera Laal Beqatha Hai
Pamal Ran Me Mayyath-e-Qasim Ki Hai Utayi
Tukde Jigar Hua Hai Mera Laal Beqatha Hai
Dharas Thi Jis Se Is Ko Maragaya Wo Bhai
Kaisa Sitam Hua Hai Mera Laal Beqatha Hai
Wo Che Mahine Wala Asghar Jo Tumne Mara
Uska Bhi Gham Mila Hai Mera Laal Beqatha Hai
Zalim Na Samah Paye Ahmed Ke Nawase Ko
Is Deen Pe Yeh Fida Hai Mera Laal Beqatha Hai
Hyder Yehi Sada Thi Hangam-e-asr Ran Main
Mader Ki Ilteha Hai Mera Laal Beqatha Hai