Haye Ghazi Alam-bardar Hayi Ghazi Alam-bardar
Zainab Ne Kaha Har Bar Hayi Ghazi Alam-bardar
Qasim Bhi Nahi Akbar Bhi Nahi Hamraha Ali Asghar Bhi Nahi
Abid Hai Bahut Laachar Zainab Ne Kaha Har Baar
Ran Me Hai Qayamat Ka Manzar Hai Lashe Jalthi Rethi Par
Hai Koye Nahi Gham-Qaar Zainab Ne Kaha Har Baar
Tum Sogaye Jakar Darya Par Chinthi Hai Saron Se Ab Chadar
Ab Jina Huwa Dushwaar Zainab Ne Kaha Har Baar
Wo Sham-e-Gariba Zulm Huwe Uthta Hai Duwa Bas Qaimo Se
Lota Gaua Saab Ghar Baar Zainab Ne Kaha Har Baar
Kehthi Hai Sakina Rorokar Ajaou Mere Ammu Ho Kidhar
Ab Dard Ke Hai Asaar Zainab Ne Kaha Har Baar
Zanjeer Me Hai Abid Jakda Uspar Hai Sitam Ab Hadse Siwa
Gash Me Hai Pada Bimar Zainab Ne Kaha Har Baar
Bazaron Sham-o-Kufa Ka Wo Na Mehram Hum Be Parda Chalte
Hai Diloun Par waar Zainab Ne Kaha Har Baar
Reh Reh Ke Hame Aathi Hai Haya Baloun Se Chipaye
Hai Chera Hai Kitna Bhara Darbaar Zainab Ne Kaha Har Bar
Aai Hai Tere Chelum Ke Liye Ab Jaye Watan Hum Kya Muh Se
Hai Karwaa Sab Tayyaar Zainab Ne Kaha Har Baar
Abbas Sakina Aana Saki Zindan Se Usse Mai La-Na Saki
Kar Aayi Lahad Tayyar Zainab Ne Kaha Har Baar