haye re majburiyan abbas ki majburiyan
ek bahadur par laga di jang ki pabandiyan
haye re majburiyan...
ghayz may abbas kehte thay ke sun ay fauj e shaam
ek thokar may bikhar jayengi ye nigraniyan
haye re majburiyan...
ro ke kehti thi sakina aaye na ab tak chacha
lambi hote jaa rahe hai aas ke parchaiyan
haye re majburiyan...
khoon behta hai mere kaano se ammu dekhiye
zaalimo ne kitni bedardi se cheeni baaliyan
haye re majburiyan...
bayn thay zainab ke hote gar alamdar e hussain
ghair mumkin tha ke phirte wadiyan dar wadiyan
haye re majburiyan...
jaam kausar ka mujhe kisne diya kyunkar mila
aansuon may doob kar samjha hoo ye gehraiyan
haye re majburiyan...
baad e qatl e saani e jafar qayam e shaah may
na koi awaaz rone ki thi na thay siskiyan
haye re majburiyan...
phir jamal e ghamzada ne ek naya nauha kaha
phir aza e shaah ki chalne lagi purwaiyan
haye re majburiyan...