Kanz e Aza

Hijabe Zainab

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Jaun. Lyrics in Roman Urdu.

alam jhuka to hijabe zainab

pe mushkilon ke sairaab chaaye

rida e tatheer lootne ko

layeen bekauf hoke aaye


bhale wo shabbir aur zainab

hai phir bhi abbas ki judaai

ke wa hijaaba behan pukari

hussain rote hai sar jhukaye

alam jhuka to hijabe...


kahin pe tera alam pada hai

kahin pe baazu kahin pe laasha

kahan kahan se batao ghazi

hussain tumko uthane aaye

alam jhuka to hijabe...


tumhara hona hi ek bhaiya

wo is ghareebi mein tha sahara

batao pardes mein bhala kaun

zaalimo se hamein bachaye

alam jhuka to hijabe...


jo tere hone se jaagte thay

wo so rahe hai hamein jagaye

zara batao to kaise zainab

yateem sehme huwe sulaaye

alam jhuka to hijabe...


meri rida aur hussain ka sar

teri hifazat ki aad mein tha

tumhare jaane ke baad dono

pe cha gaye hai sitam ke saaye

alam jhuka to hijabe...


nahi hai pani to laut aao

sakina tum bin na reh sakegi

wo jhel legi jo uska asghar

tadap ke jhoole mein bil bilaye

alam jhuka to hijabe...


dua e zehra sawaal e hyder

ata e khaaliq rida e zainab

yehi to ghazi hai jaun khud mein

jo inka rabte ziya dikhaye

alam jhuka to hijabe...