Kanz e Aza

Hukme Shabbir se

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

hukme shabbir se jo zabt ki deewar hua

shakle hyder mein wohi hyder e karrar hua


mera abbas alamdar hai aisa ghazi

naam se harf e wafa jiske wafadar hua

shakle hyder mein wohi hyder e karrar hua

hukme shabbir se jo...


mashk pehchaan alam jaan sakina dil hai

mil ke in cheezon se paikar tera tayyar hua

shakle hyder mein wohi hyder e karrar hua

hukme shabbir se jo...


khaafila aale mohamed ka chala jab ghar se

tu alamdar hua khaafila salaar hua

shakle hyder mein wohi hyder e karrar hua

hukme shabbir se jo...


hogaye haath qalam mashk bachane ke liye

tere jaisa na zamane mein wafadar hua

shakle hyder mein wohi hyder e karrar hua

hukme shabbir se jo...


jab talak baazu rahe mashk pe aanch aayi nahi

kat gaye haath to mashkeeza pe tab waar hua

shakle hyder mein wohi hyder e karrar hua

hukme shabbir se jo...


tere qadmon ki badolat hui mashoor furaat

paaon chu kar jo tere pani haya daar hua

shakle hyder mein wohi hyder e karrar hua

hukme shabbir se jo...