tazeem karo aati hai shehzadi e shaam
ay aseeran e sitam utho karo aao salam
hind aati hai har ek dukh ki dawa kar degi
rehm dil bibi hai chahe to reha kar degi
jab suni hind ke aane ki khabar zainab ne
rakh diya khaak pe rote hue sar zainab ne
boli sajjad se jaldi koi chadar la de
mere hissay ki jahan maut hai jakar la de
koi shay chupne mujhko mere dilbar la de
keh ke ye thaam liya apna jigar zainab ne
jab suni hind ke…
saamna hind ka kis tarha karoongi beta
aankh bhar kar mujhe jisne na kabhi tha dekha
ab wo dekhegi yahan haye khula sar mera
ye wo hai jisko diye laal o gohar zainab ne
jab suni hind ke…
hind aayi to kisi ne kaha tazeem karo
qadiyon jaye adab hai chalo tasleem karo
rehm dil bibi hai ghabrao na takreem karo
sunke ye ashkon se daman kiya tar zainab ne
jab suni hind ke…
hind ne naam jo poocha to haya aane lagi
binte zehra thi tadapne lagi sharmane lagi
yaad abbas ki bibi ko bahot aane lagi
ki sar e shaah pe us waqt nazar zainab ne
jab suni hind ke…
hind pehchan gayi jism mein larza aaya
phaynk kar apni rida royi bahot ghash aaya
sar rakha qadmo pe rote hue ye farmeina
kaisi haalat mein kiya yan ka safar zainab ne
jab suni hind ke…
kaise rehaan bayan qaid ka hoga manzar
hind ke sar pe jo zainab ne udhayi chadar
aur us waqt bhi bibi ka barehna raha sar
gham ka mahol mila dekha jidhar zainab ne
jab suni hind ke…