tanha ali ka laal tha nau laakh ashkiyan
zakhmon se choor garm hawa khushk tha gala
shimr e layeen aasteen ulte huwe badha
khanjar abhi chala nahi tha ke ek maa ne di sada
ban mein thay maa ke ye bain
kaise mai paaungi chain
o mere laal hussain
marqad ko apne chod ke sehra mein aayi hoon
muztar hoon ghamzada hoon falak ki satayi hoon
aankhon mein ashk ko chupa kar mai laayi hoon
bikhre huwe hai baal ye deti duhaai hoon
o mere laal hussain...
paala hai chakki pees ke kitne jatan kiye
sookhe abhi nahi mere haathon ke aabile
kis tarha dekh paungi khanjar talay tujhe
maa keh ke ek baar to awaaz de mujhe
o mere laal hussain...
bachpan mein tujhko dhoop mein jaane nahi diya
aur aaj tere jism se suraj guzar gaya
haye haye kisi ne aake udhayi nahi rida
aa mere bikhre baalon ke chaon mein baith ja
o mere laal hussain...
tujhpe nahi ye taygh mere dil pe chalti hai
ek aah mere seene se paiham nikalti hai
jalte hai zakhm tere zameen itni jalti hai
majboor teri maa hai khadi haath malti hai
o mere laal hussain...
zakhmon se khaak saaf karungi rida se mai
wapas na jaungi kabhi ab karbala se mai
poochungi ye sawaal abhi alqama se mai
teri jafa ka shikwa karun kya khuda se mai
o mere laal hussain...
tu gham na kar chalegi tere saath saath maa
ho kar sawaar naize pe jayega tu jahan
tere baghair ab mujhe aaraam hai kahan
nauha kuna rahegi ye kehte huwe zaban
o mere laal hussain...
be-gor o be-kafan mere bacche tujhe salaam
bakshi na jayegi kisi surat ye fauje shaam
ay tashna lab ghareeb mohamed ke laal afaam
jageer daar khuld ki jageer tere naam
o mere laal hussain...
karbobala larazti thi zehra ke bain se
binte rasool hogayi mehroom chain se
uth'ta tha shor qabre shahe mashraqain se
rehaan jab ye kehti thi zehra hussain se
o mere laal hussain...