Kanz e Aza

Le Chal Hussain Ko

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Akhtar Sirsvi. Lyrics in Roman Urdu.

himmat na haarna abhi


rehwaar ek nasheb mein le chal hussain ko

zainab na dekh le sar e maqtal hussain ko


is waqt hai badan pa mere zakhm beshumar

hamsheer ki nigaah na pad jaaye hoshiyar

aa jayegi tadap ke behen suye kaar zaar

ye fikr khaa rahi hai musalasal hussain ko

rehwaar ek nasheb mein...


maqtal mein maut zakhmi badan ke khareeb hai

yaseen kab se pyase dahan ke khareeb hai

zehra ka chand ran mein gahan ke khareeb hai

ghere huwe hai fauj ka badal hussain ko

rehwaar ek nasheb mein...


aaqa ki bekasi pe na dil ko malool kar

ay zuljanah aakhri zehmat qubool kar

mujhko behan ki samt na le jaana bhool kar

tadpa rahi hai teeron ki halchal hussain ko

rehwaar ek nasheb mein...


ghurbat mein kya hussain tujhe raahwar de

tujhko sila wafaon ka parwardigar de

basti mein jaa ke pusht se apni utaar de

dena hai imtehan mukammal hussain ko

rehwaar ek nasheb mein...


khanjar layeen sookhe galay par chalayega

tan par mere libaas talak bach na payega

meri behen se haal ye dekha na jayega

aata hai ye khayaal har ek pal hussain ko

rehwaar ek nasheb mein...


tooti hui kamar mein qayamat ka dard hai

kab se bhari hui mere zakhmon mein gard hai

chehra tamaam pyaas ki shiddat se zard hai

mil jaaye maa ka dhoop mein aanchal hussain ko

rehwaar ek nasheb mein...


waqte qaza kuch aur meri fikr badh gayi

zainab talaash karne bulandi pa chad gayi

mar jayegi nazar jo kahin mujhpe pad gayi

aaghosh mein chupale ay jangal hussain ko

rehwaar ek nasheb mein...


zakhmi hussain soch rahe hai sipaah mein

sar se rida ko phaynk ke bhai ki chaah mein

ghabra ke aa na jaaye behen qatl gaah mein

mushkil ka ab bata de koi hal hussain ko

rehwaar ek nasheb mein...


dushman khiza thi aamir o akhtar bahaar ki

takta tha zuljanah bhi surat sawaar ki

gardan pa jhuk ke kehte sheh raahwar ki

kar de behen ki aankhon se ojhal hussain ko

rehwaar ek nasheb mein...