qaime may qayamat hai alamdar tere baad
thaame hai kamar sayyede abraar tere baad
qaime may qayamat hai...
baazu tere laaye hai shahenshah e madina
roti hai lipat kar tere parcham se sakina
bachi hai musibat may giraftaar tere baad
qaime may qayamat hai...
aaja bani hashim ke qamar dhoond rahi hai
ghazi tujhe zainab ki nazar dhoond rahi hai
qaime may chale aaye sitamgaar tere baad
qaime may qayamat hai...
dhoondun mai kahan jaake muhafiz ko rida ke
tu sogaya maidan may shaano ko kata ke
chalti hai mere qalb pe talwaar tere baad
qaime may qayamat hai...
reh reh ke tadapti hai bachi teri pyasi
mayoos hai saydaniya chaayi hai udasi
ay aale mohamed ke madadgaar tere baad
qaime may qayamat hai...
shabbir ki haalat pe taras aata hai bhaiya
tooti hai kamar dard se thar'rata hai bhaiya
jeena tere bhai ka hai dushwaar tere baad
qaime may qayamat hai...
bedard layeen baandhenge baazu may rasan ko
abbas yaqeen hogaya ab teri behen ko
be parda phirungi sar e bazaar tere baad
qaime may qayamat hai...
zalim ne tamacho se lahoo kar diya unko
tu choomta tha shaam o saher pyar se jinko
zakhmi hai sakina ke wo ruqsaar tere baad
qaime may qayamat hai...
zainab ke yehi bain thay ay aamir o akhtar
haathon se kamar thaam ke rote hai barabar
kya shaah pe guzri hai wafadaar tere baad
qaime may qayamat hai...