zainab ki hai yehi dua ooncha rahe parcham tera
quwwate shere khuda rabbe wafa abbas hai
fatema zahra o hyder ki dua abbas hai
lashkare shaam se kehta layeen ibne ziyad
ye ali ka pisar hai shere khuda abbas hai
fatema zahra o hyder ki dua abbas hai
quwwate shere khuda...
cheen kar gohar sakina ke ye kehta hai shimr
ab na akbar hai tera na chacha abbas hai
fatema zahra o hyder ki dua abbas hai
quwwate shere khuda...
haye wo shaam e ghariban pehre pe binte ali
khoon mein doobi hui gham ki faza abbas hai
fatema zahra o hyder ki dua abbas hai
quwwate shere khuda...
jinke parde ki to zaamin aayat e tatheer hai
sar khule bazaar mein aale abaa abbas hai
fatema zahra o hyder ki dua abbas hai
quwwate shere khuda...
kis tarha irfan bhoolega zamana ye wafa
dono baazu kar gaya jin pe fida abbas hai
fatema zahra o hyder ki dua abbas hai
quwwate shere khuda...