zehra ki hai dua mujhe ghazi ho ataa
dar haqeeqat mein wafaon ka jahan abbas hai
de jo khushboo e wafa wo baghban abbas hai
raahe haq mein jisn apna khoon pani kar diya
gulshan e islam mein ek rang anokha bhar diya
manzil e raahe wafa ka kaarwan abbas hai
de jo khushboo e wafa wo baghban abbas hai
dar haqeeqat mein...
waaris e tasneem o kausar ka guzar pani pe hai
misle musa o qizr ka yun safar pani pe hai
mauj hai darya mein aur roohe rawan abbas hai
de jo khushboo e wafa wo baghban abbas hai
dar haqeeqat mein...
qaima e sarwar mein bacche saare pyase reh gaye
mashk o alam abbase ghazi darya pe thay reh gaye
tashangane karbala ki daastan abbas hai
de jo khushboo e wafa wo baghban abbas hai
dar haqeeqat mein...
dekh kar oonchi chatano pe alam abbas ka
aisa lagta hai jahan pe hai karam abbas ka
door hai hadh e nigaah se aasman abbas hai
de jo khushboo e wafa wo baghban abbas hai
dar haqeeqat mein...
jis ke dam se aaj irfan hai jo dunya mein wafa
faqr e mekayeel deta hai zamane ko hawa
kashti e noor e wafa ka baadban abbas hai
de jo khushboo e wafa wo baghban abbas hai
dar haqeeqat mein...