ran mein ye kehte thay roke sarwar
haye mera abbas nahi hai
kaise uthaun laasha e akbar
haye mera abbas nahi hai
ran mein ye kehte…
seene se barchi kaise nikalun
peeri mein kaise dil ko sambhalun
khoon mein tadapta hai mera dilbar
haye mera abbas nahi hai
ran mein ye kehte…
ran mein thay zainab ke ye naale
koi mere bhai ko bachale
shimr chalata hai kund khanjar
haye mera abbas nahi hai
ran mein ye kehte…
ran mein na hota pamaal sehra
bewa na hoti mazloom kubra
tukde hassan ka hota na dilbar
haye mera abbas nahi hai
ran mein ye kehte…
chehre ko balon se hai chupaye
kehti thi zainab sar ko jhukaye
sar se mere chinti na ye chadar
haye mera abbas nahi hai
ran mein ye kehte…
hote na hum bazaron mein ruswa
phirta na dar dar aaj ye kunba
durre na khaata abid e muztar
haye mera abbas nahi hai
ran mein ye kehte…
majlis o matam ghar mein bapa kar
ankhon mein aansu bhar ke dua kar
nauha suna zainab ko ye mehshar
haye mera abbas nahi hai
ran mein ye kehte…