rawana hote hai khaime se shaah ran ke liye
ye imtehaan bada saqt hai bahen ke liye
hai waqt e asr safar aakhri hussain ka hai
koi rafeeq na zehra ke noor-e-ain ka hai
nidhaal gham se badanshaahe mashraqain ka
khiza'n ka waqt hai gulzar e panjetan ke liye
kabhi hussain baradar ko yaad karte hain
kabhi jawaniye akber ko yaad karte hain
kabhi tabassum e asgher ko yaad karte hain
kabhi tadapte hain qasim ke gulbadan ke liye
nabi ke baagh se ruqsat bahaar hoti hai
pidar ke gham me sakina qaraar khoti hai
har ek bibi se zainab ye kahke roti hai
dua e khair karo sab shah-e-zaman ke liye
hai fouje shaam me tanha ali ka shehzaada
har ek shakhs hai zulm o sitam pe aamada
zaeef jism pa hai sang baria aada
kisi bhi dil me na hai rehm be watan ke liye
koi hussain pa teero'n se waar karta hai
koi sina'n se qaba taar taar karta hai
fareb deke koi bhi qaraar karta hai
hazaro'n zakhm hai'n ek phool se badan ke
zameen e garm pa kya haal hai musafir ka
lahu se sara badan laal hai musafir ka
zaeef jism bhi pamaal hai musafir ka
ghubaar-e-dashte-e-bala hai burida tan ke liye
qayam e shaah me akhtar wo aah o zari hai
tamaam dasht me ek be kasi si taari hai
qaza ke baad bhi bekas pa zulm jaari hai
machi hai loot shahe dee'n ke pairahan ke liye
charaagh turbate ahmed ka bujhne wala hai
jo zakhm hai tan e masoom par niraala hai
tamaam jism ko ummat ne round dala hai magar gila hai na shikwa koi dahan ke liye