qaime darya se hatane ko jo kuffaar chale
is taraf ghaiz mein abbas e alamdar chale
haal ye dekh ke shabbir ne zainab se kaha
koi tatbeer karo ran mein na talwaar chale
zainab rok lo abbas ko
bole ye shahe abraar
kahin chal na pade talwaar
zainab rok lo abbas ko
ay saani e zehra dekh to lo
ab saani e hyder ghaiz mein hai
qaimon ke hataye jaane se
abbas e dilwar ghaiz mein hai
mehshar ke hai sab aasaar
kahin chal na pade talwaar
zainab rok lo abbas ko...
waada jo kiya tha nana se
hum usko nibhane aaye hai
qaimon ki hamein kuch fikr nahi
hum deen bachane aaye hai
mehnat na ho ye bekaar
kahin chal na pade talwaar
zainab rok lo abbas ko...
shabbar ke janaze par zainab
jab teeron ki bauchar hui
abbas ke tewar badle thay
lekin na wahan yalghaar hui
hai jang yahan tayyaar
kahin chal na pade talwaar
zainab rok lo abbas ko...
is waqt hamare maqsad ko
sanche mein wafa ke dhaalna hai
ye kaam tumhara hai zainab
abbas ka ghussa taalna hai
bikhra hai alambardaar
kahin chal na pade talwaar
zainab rok lo abbas ko...
jab jab bhi usay ghaiz aaya hai
har mod pe maine toka hai
talwaar uthaane se ab tak
abbas ko maine roka hai
ab rokna hai dushwaar
kahin chal na pade talwaar
zainab rok lo abbas ko...
ye chaar moharram hai zainab
ashoor mein thodi doori hai
abbas ko hum kaise roke
ye sab se badi majboori hai
imdaad karo ek baar
kahin chal na pade talwaar
zainab rok lo abbas ko...
talwaar se ran mein ghazi ne
qat khaynch diya hai ay zainab
hyder ki shuja'at ka waaris
ghusse mein bhara hai ay zainab
manzil hai badi dushwaar
kahin chal na pade talwaar
zainab rok lo abbas ko...
taqeer na karo ab jald karo
lagta hai qayamat aati hai
ab dil ki hamare bechaini
ye soch ke badti jaati hai
badne na lage takraar
kahin chal na pade talwaar
zainab rok lo abbas ko...
ay aamir o fakhri aankhon se
shabbir ke aansu behte thay
bhai ke jo aansu behte thay
wo pyari behen se kehte thay
shabbir hai ab laachar
kahin chal na pade talwaar
zainab rok lo abbas ko...