Kanz e Aza

Roohe Zehra ne

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Qamar Hasnain. Lyrics in Roman Urdu.

jab gire ghode se abbas to pahunche maula

zakhmi abbas ka sar aap ne zaano pe rakha

poch kar khoon ko aankhon se kiya ek gila

zindagi bhar kabhi tum ne na mujhe bhai kaha

dil ye kehta hai ke zehra ne kaha to hoga

ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde


rooh e zehra ne ye abbas ke kaano mein kaha

ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde


tujhko godhi mein sambhala mere shabbir ne hai

teer aankhon se nikala mere shabbir ne hai

aakhri waqt hai shabbir ke tu lag ja gale

ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

rooh e zehra ne ye...


tujhko har waqt hai farzande payambar ka khayal

mujhse dekha nahi jaata mere shabbir ka haal

aarzoo iski hai ke abbas mujhe bhai kahe

ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

rooh e zehra ne ye...


chakkiyan pees ke shabbir ko maine paala

ab nahi koi bhi ise bhai isay kehne waala

mere shabbir ne maqtal mein bahot ranj sahe

ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

rooh e zehra ne ye...


bhai jitne bhi thay kehte rahe maula aaqa

ehteraman kisi bhai ne bhi bhai na kaha

bhai kehlaane ko beta mera kab tak tarse

ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

rooh e zehra ne ye...


tu to kuch dam mein mere paas chala aayega

mera shabbir to tanha yahan reh jayega

is se pehle ki gala bete ka khanjar se kate

ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

rooh e zehra ne ye...


mera shabbir meri jaan hai nabi ka waaris

mere abbas jari tu hai ali ka waaris

tere baba ki bhi khwahish hai ke tu bhai kehde

ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

rooh e zehra ne ye...


yaad rakhega jahan tu ne wafa wo ki hai

tune farzande mohamed ke liye jaan di hai

ye tere zakhm tera khoon mai tere sadqe

ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

rooh e zehra ne ye...


jab gira ghode se to tu ne sada ek di thi

mai tere paas hi shabbir se pehle pahunchi

haq mera hai ke tu ab maanle ye maa jo kahe

ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

rooh e zehra ne ye...


jism mein teer hai baazu hai juda zakhmi sar

mai bahot roti hoo beta teri mazloomi par

khoon bhare daste bureeda tere maine choome

ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

rooh e zehra ne ye...


mere shabbir ko dhaaras hai sakina ko aas

roz e mehshar bhi tu hai baabe hawaij abbas

ye kate haath mai laaungi shifa'at ke liye

ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

rooh e zehra ne ye...


ay qamar karb mein abbas kare kya na kare

ek taraf maa ki qasam ek taraf zehra hai

dil se bhai kaha honton se magar keh na sake

ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

rooh e zehra ne ye...