Kanz e Aza

SABSE OUCHA TERA ALAM ABBAS

A noha for Hazrat Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas


Sabse Oucha Tera Alam Abbas

Hai Har Ek Dil Me Tera Gham Abbas

1.Tujhse Dharas Thi Pyase Bachou Ki

Kis Khadar Mutmayeen Sakina Thi

Sabke Lab Par Tha Dum Ba Dum Abbas


Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas


2.Mashk Jab Chidh Gayi Sakina KI

Dil Pa Tere Najane Kya Guzri

Tujh Pa Kaise Howe Sitam Abbas


Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas


3.Aankh Me Teer Sar Pa Gurz Laaga

Tujh Pa Har Simt Se Howa Hamla

Tere Shaane Howe Khalam Abbas


Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas


4.Hokey Bedast Aaye Mere Aagha

Kaise Ghudhe Se Tu Zameen Pa Gira

Fatima Ku Hai Iska Gham Abbas


Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas


5.Aj Bhi Teri Hukmrai Hai

Deen Ki Fatha Ki Nashani Hai

Tera Parcham Tera Alam Abbas


Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas


6.Zandagi Ka Yehin Sahara Hai

Yeh Ibadath Pasand-e-Zehra Hai

Tera Matam Karinge Hum Abbas


Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas


7.Hai Tadhap Ab Rasheed Ke Dil Ki

Ghamzuraou Ki Iltijah Hai Yehin

Tere Rouze Pe Phouche Hum Abbas


Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas