waqt e akheer shaah se farmaate hain ghazi
sharminda sakina se hu'n batlaate hain ghazi
khaimon me na le jaaiye moula mera lasha
sahil pa pada rehne de'n aaqa mera lasha
maaruza ye hai aapse lasha na uthana
bas mashk o alam mere sakina ko dikhana
rehne de'n yahi'n dhoop me bikhra mera lasha
khaimo'n me agar jayega ye khoo'n bhara parcham
mil jayega phir bali sakina ko naya gham
maida'n me yahi'n chord-de moula mera lasha
sharminda sakina se hu'n paani nahi laaya
usko na batana ke mai kyukar nahi aaya
wo dekh ke marjayegi dukhiya mera lasha
gham mera sakina nahi seh payegi dukhiya
is haal me dekhegi to marjayegi dukhiya
dekhe na kahi'n bali sakina mera lasha phir sheh ne kaha aye mere abbas e dilawar
ek baar mujhe bhai kaho mere baradar kyu'n kehte ho lejao na aaqa mera lasha
qismat ye meri mujhse kahi'n rooth na jaye
aaqa mere gham se ye kamar toot na jaye
bas chordey dariya pe burida mera lasha