sajde may sar hussain ka teero ke darmiyan
qaimon se aa raha tha ek shor al-amaan
kaisa toofan aaya aale rasool par
qaimon may keh rahi thi ro ro ke bibiyan
sajde may sar...
pani ko gaye ghazi aaye na laut kar
bache bilak rahe thay le le ke hichkiyan
sajde may sar...
nana teri ummat ke kuch log shaam may
sar nange le ke aaye zahra ki betiyan
sajde may sar...
ek boond pani bhi na diya haye us ghadi
asghar dikha raha tha sookhi hui zuban
sajde may sar...
qasim ka sehra haye pamaal hogaya
bikhri padi thi rayth par phoolon ki pattiyan
sajde may sar...