Kanz e Aza

Sajjad bayaa karte the mazloom phuphi jaan

A noha for Shehzadi Zainab (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

Sajjad baya'n karte the badeeda e qoo'n bar mazloom phuphi jaan, Ghurbat me chuta apse mai bekaso nachaar mazloom phuphi jaan.

Marne ke liye aayi thi kya ap mere saath pardes me haihaat, Baqi na buzurgou me raha ab koi zinhaar mazloom phuphi jaan.

Tari hai ajab ranjo alam qalbe hazee'n par, sabr ayega kyu'nkar

Kya jaake madine me.kahega ye dil afgaar mazloom phuphi jaan.


Pardes me kis tarah mujhe chordke tanha wa hasrato darda, Abaad kiya apne firdous ka gulzaar mazloom phuphi jaan.

Kis tarah karu zabt nahi zabt ka yara dil hai ta-o bala, Woh sozish e gham hai ke hai ankhe'n meri qoo'n baar mazloom phuphi jaan.

Turbat ke sarhane se nahi uth'ti hai Fizza, sadma hai kuch aisa, Jaata hu Madine ko mai be moniso be yaar mazloom phuphi jaan.

Fizza ne ada kardiya haq aj wafa ka, aye Saniye Zehra, Qabr apki hai aur hai yeh talibe deedar mazloom phuphi jaan.


'Qudsi' yehi farma ke madine ko gaye Shah, ba halate jaa'n ka, Insan ka har haal me Qaliq hai madadgar mazloom phuphi jaan...