Sajjad Dil Sambhalo Bazar-e-Shaam Aaya
Daman Se Muh Chupalo Bazar-e-Shaam Aaya
1.Bimar Kehraha Tha Aansu Baha Baha Kar
Zainab Ka Sar Khula Hai Lakar Udhado Chadar
Kufe Ke Rehne Walo Bazar-e-Shaam Aaya
2.Namoos-e-Mustafa Ku Kyun Dekhte Hu Aise
Hairath Me Aasman Hai Tum Kalma Guh Hu Kaise
Nazraen Zara Jukalo Bazar-e-Shaam Aaya
3.Sajjad-e-Natawa Ke Pairou Me Bedhiyan Hai
Majma Hai Kufioun Ka Sar Nange Bibiyan Hai
Moula Ali Bachalo Bazar-e-Shaam Aaya
4.Zainab Ka Naam Lekar Aada Pukarte They
Reh Reh Ke Taziyane Abid Ku Marte They
Jab Sheh Ke Rone Walo Bazar-e-Shaam Aaya
5.Barsat Pattharou Ki Kuthou Se Horahi Thi
Zainab Ki Bekasi Par Tanhai Rorahi Thi
Logo Diye Bhujado Bazar-e-Shaam Aaya
6.Uothou Se Gir Rahe They Bache Jo Raste Me
Matam Bapa Hai Peham Be Parda Bibiyun Me
Ab Sar Pe Khakh Dalo Bazar-e-Shaam Aaya
7.Rehan Kya Baya Hu Sajjad Ki Musibat
Sehta Raha Jo Dil Par Har Har Khadam Aziyath
Aankhou Se Khoon Bahalo Bazar-e-Shaam Aaya