Kanz e Aza

Sajjad Ka Gala Hai

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Sajjad Ka Gala Hai

Touqe garaa'n me jakda Sajjad ka gala hai

Har gaam per jafa hai beemare karbala hai

Baba ki laash ran me pamaal hogaee hai


Bete pa ya ilahi ye kaisi bebasi hai

Laashe pa sar jhukaye aansu baha raha hai

Kufe ko qafela ab jata hai qaidiyon ka

Pursaa(N) koi nahi hai Zahra ki betiyon ka


Sajjad e natawaN hi ab meer e qafela hai

Naqay se gir gaee hai seene pa sone wali

Naize pe ruk gaee hai kyun Shaah ki sawari

Koday laga k zalim Abid se poochta hai


kantoun pa khainchte hain beemar o natawaN ko

Zanjeer khooN se likhti hai gham ki dastaaN ko

Abid ki bekasi per dil khoon ro raha hai

Maa, behnoun k Phupi k sar per rida nahi hai


Phailaye paaoun baitha darbar me laeeN hai

Kursi nasheeN hain har su aur Aale Mustafa hai

Baba ko yad kar k lo chal basi Sakina

Armaa to thay bohot per ja na saki madina


Daaghe judai dil per bhai k ye naya hai

Zindaan me bahen ko dafna raha hai bhai

Milne chali pidar se seene pa sone wali

Saidaniyoun me isdam kaohram ek bapa hai


Bhai se apne aksar kahti thi ye Sakina

Thandi jagah pa mujhko ay bhai dafn karna

Gham iska qalbe Abid ko khooN rula raha hai

Hai aarzu k moula karbo bala bulain


Sajjad ki lahad per bhi ashke gham bahain

Lab per yehi Aqeel aur Farhan k dua hai