Kanz e Aza

Salle ala zainab sabr tera Zainab

A noha for Shehzadi Zainab (s.a), recited by Anjuman e Shaidae Ali Asghar. Lyrics in Roman Urdu.

SALLE ALA ZAINAB SABR TERA ZAINAB

Aun-o-mohammed Ke Laashe Juhi Aaye

Sajd-e-shukrana Tune Kiya Zainab

Jano Dil-e-Zehra Tu Thi Rasan Basta


Kaisa Sitam Haye Tujh Pa Huwa Zainab

Zeenate Alam Ki Tujh Se Hi Zeenath Thi

Zeenate Majlis Hai Naam Tera Zainab

Nouke Sina Par Tha Sar Shahe Wala Ka


Bhai Ka Yun Pursa Tuj Ko Mila Zainab

Toot Gai Har Aas Ab Hai Kahan Abbas

So Gaya Karbala Main Bhai Tera Zainab

Sham Ka Wo Bazar Sham Ka Wo Darbar


Lab Par Raha Tere Shukre Khuda Zainab

Sham O Kufa Ho Ya Wo Madina Ho

Dil Main Rahi Tere Karbobala Zainab

Shan Thi Kya Teri Kufe Ki Shahzadi


Tera Muhafiz Tha Baba Tera Zainab

Waqt Ne Karwat Li Kaise Ghadi Aayi

Chin Gai Balwe Main Teri Rida Zainab