Shabe Ashoor Ayee Hai
Udasi Kaisi Chaee Hai
Faza-e- Karbala Chup Hai
Zameen Nainawa Chup Hai
Hawaein Kar Thi Hai Nouha
Yeh Laila Kehthi Thi Rokar
Qareeb Aja Mere Akbar
Mai Kal Hojaoungi Tanha
Abhi Hain Mujmmaeen Pyase
Salamath Hai Abhi Qaime
Abhi Gazi Ka Hai Pehra
Yeh Farwa Bain Karthi Thi Ke Kal Qasim Ki Hai Shadi
Dulhan Hojaegi Bewa
Nassehat Karti Thi Zainab
Hai Bacho Aaqri Ye Shab
Hai Kal Qurban Hojana
Bohat Bechain Hai Bachche
Liye Sukhe Huwe Kuze
Ajab Alam Hai Gurbath Ka
Ali Asghar Bhi Hai Bechain
Yeh Bano Kar Rahi Hai Bain
Jhulaoun Kal Kise Jhoola
Yeh Farmate The Moula
Behan Ab Housla Rakna
Na Hoga Ka Tera Bhaiya
Hai Gash Me Abid-e- Muztar
Hai Qaimoun Ka Ajab Manzar
Kare Kya Zainab-e-kubra
Yeh Shaida-e-ali Asghar
Rasheed Ab Hain Bohath Mauztar
Liye Aankoun Main Ek Jhoola