shabihe payambar akbar zibha ba maidan
ye sibte payambar ki laila ki kamayi hai
kya maadar e akbar ne taqdeer ye paayi hai
qaimon may bapa matam qaimon may bapa matam
ay mere jawan akbar zibha ba maidan
shabihe payambar akbar...
jo naazon ka paala hai athara baras waala
laila ka dulaara hai athara baras waala
qaimon may bapa matam qaimon may bapa matam
ay mere jawan akbar zibha ba maidan
shabihe payambar akbar...
socha bhi na tha maa ne ye din kabhi aayega
marne ke liye akbar maidan may jayega
qaimon may bapa matam qaimon may bapa matam
ay mere jawan akbar zibha ba maidan
shabihe payambar akbar...
khayega kaleje par jis waqt sina akbar
ye teri khabar sun ke mar jayegi maa akbar
qaimon may bapa matam qaimon may bapa matam
ay mere jawan akbar zibha ba maidan
shabihe payambar akbar...
jaata hai jo maqtal may waapas wo nahi aata
taqdeer dikhaye na akbar ka kahin laasha
qaimon may bapa matam qaimon may bapa matam
ay mere jawan akbar zibha ba maidan
shabihe payambar akbar...
akbar teri shaadi ka armaan tha khwahar ko
poshaak shahaani wo pehnaye baradar ko
qaimon may bapa matam qaimon may bapa matam
ay mere jawan akbar zibha ba maidan
shabihe payambar akbar...
peeri hai nakahat hai aur sibte payambar hai
farzand ki mayyat hai aur sibte payambar hai
qaimon may bapa matam qaimon may bapa matam
ay mere jawan akbar zibha ba maidan
shabihe payambar akbar...
phir kaun bachayega karti thi buka maadar
cheenenge layeen aa ke jab sar se mere chadar
qaimon may bapa matam qaimon may bapa matam
ay mere jawan akbar zibha ba maidan
shabihe payambar akbar...
akbar ne dam e ruqsat jeene ki duayein li
aur kaampte haathon se zainab ne balayein li
qaimon may bapa matam qaimon may bapa matam
ay mere jawan akbar zibha ba maidan
shabihe payambar akbar...
beta na kisi ka yun mar jaaye jawani may
matam ki sadayein hai darya ki rawani may
qaimon may bapa matam qaimon may bapa matam
ay mere jawan akbar zibha ba maidan
shabihe payambar akbar...
zehra ki inayat hai padta hai naqi nauha
hamshakle payambar ka shabbir ko hai pursa
qaimon may bapa matam qaimon may bapa matam
ay mere jawan akbar zibha ba maidan
shabihe payambar akbar...
mil jaaye jo akbar ki dehleez mujhe mehshar
din raat padhun nauha ye khaakh pe sar rakh kar
qaimon may bapa matam qaimon may bapa matam
ay mere jawan akbar zibha ba maidan
shabihe payambar akbar...