Kanz e Aza

Shabihe payambar akber

A noha for Ali Akbar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Shabihe payamber akber nouha kare maa

Shaah ka dilbar akber nouha kare maa

Armaan bohot tha mai teri shaadi rachaau

Ek roz dulhan chaand si mai byaah ke laau Par laash pa roti hai teri kokh jali maa


Zinda the tumhe dekh ke ab kaise jienge

Soncha tha tere byaah ki poshak siyenge

Par tujh ko kafan bhi na mila haaye meri jaa'n

Bimaar behen takti hai beta tera rasta


pardes me aaye to raha yaad na waada

Maqtal kiya aabaad madina kiya veeraa'n

Rothi hai phupi jis ne tuhjhe laad se paala

Tum kya gaye ruqsat hua is ghar ka ujaala


Ek baap zaeefi me hua be saro saamaa'n

Allah nigehbaan tumhara mere pyare

Hum log rasan basta hue shaam sidhaare

Sota hai tere sath yahaa'n asghare naadaa'n