shaah kehte thay mujhe shakl dikha do akbar
aa nahi sakte ho awaaz suna do akbar
thokare khaake ye majboor pidar gir na pade
noor aankhon may nahi raah dikha do akbar
shaah kehte thay...
paalne waali phupi ghash may padi hai beta
usko chal kar zara daaman ki hawa do akbar
shaah kehte thay...
baal khole huwe maadar ye khadi hai beta
usko samjha ke aba apni udha do akbar
shaah kehte thay...
paas darya ke agar ho to ye ehsaan karo
dayr se sote hai abbas jaga do akbar
shaah kehte thay...
asr ka waqt qareeb aa gaya jaago mere laal
ek baar apni azan mujhko suna do akbar
shaah kehte thay...