Shah Zaadi Fatima Maa Nansa Hussaina
abadwalla Ya Zahra Maa Nansa Hussaina
01. Karbal Me Jo Hussain Ko Paani Nahi Mila
zahra Ke Noor E Ain Ka Pyaasa Gala Kata
daryaao Ne Kaha Maa Nansa Hussaina
02. Paida Huwe Hussain Ke Matam Ke Waste
marjayenge Hussain Tere Gham Ke Waste
shah Zaadi Fatima Maa Nansa Hussaina
03. Jab Tak Jiye Hussain Ka Matam Karenge Ham
matam Me Jaan Shaah Pe Wara Karenge Ham
matam Ki Hai Sada Maa Nansa Hussaina
04. Matam Karo Hussain Ka Jab Tak Ye Jaan Hai
ye Matam E Hussain To Momin Ki Shaan Hai
waada Hai Rooh Ka Maa Nansa Hussaina
05. Ye Tera Jaanisaar Bhi Matam Shiyar Hai
dawar Bhi Tere Sog Me Seena Figaar Hai
aye Kushtaye Jafaa Maa Nansa Hussaina