Kanz e Aza

Tanha Hai Ab Hussain Alamdar Bhi Nahi

A noha for Imam Hussain (a.s), recited by Anjuman e Aon o Mohd. Lyrics in Roman Urdu.

Tanha Hai Ab Hussain Alamdar Bhi Nahi


1.karbobala Me Koi Madad Gaar Nahi

aale Nabi Ka Moniso Ghamkhaar Bhi Nahi


aao Najaf Se Ya Ali Imdaad Ke Liye

tanha Hai Ab Hussain Alamdar Bhi Nahi


2. Ranjo Alam Ka Waqt Musibat Ka Waqt Hai

abbas Ka Hai Gham To Qayamat Ka Waqt Hai


aao Najaf Se Ya Ali Imdaad Ke Liye

tanha Hai Ab Hussain Alamdar Bhi Nahi


3. Aaya Hai Khaima Gaah Me Abbas Ka Alam

shabbir Ki Hai Pusht Khameeda To Chashme Nam


aao Najaf Se Ya Ali Imdaad Ke Liye

tanha Hai Ab Hussain Alamdar Bhi Nahi


4. Faryad Ras Ghareebo Ke Aye Bekaso Ki Aas

ab Aap Ke Hussain Ka Dil Gham Se Hai Udaas


aao Najaf Se Ya Ali Imdaad Ke Liye

tanha Hai Ab Hussain Alamdar Bhi Nahi


5. Bhai Ka Gham Bhateeje Ka Noor E Nazar Ka Gham

ek Jaan E Fatima Ke Liye Sare Ghar Ka Gham


aao Najaf Se Ya Ali Imdaad Ke Liye

tanha Hai Ab Hussain Alamdar Bhi Nahi


6. Asghar Ki Laash Leke Chale Qaimagaah Me

baano Ki Shakl Phirti Hai Shah Ki Nigaah Me


aao Najaf Se Ya Ali Imdaad Ke Liye

tanha Hai Ab Hussain Alamdar Bhi Nahi


7.abbas Ke Alam Me Har Ek Dil Hai Sogwar

saqqa Nahi Raha To Sakina Hai Ashkbaar


aao Najaf Se Ya Ali Imdaad Ke Liye

tanha Hai Ab Hussain Alamdar Bhi Nahi


8.ye Kaisa Aasman Hai Ye Kaisi Zameen Hai

zainab Aseer Hogi Ab Iska Yaqeen Hai


aao Najaf Se Ya Ali Imdaad Ke Liye

tanha Hai Ab Hussain Alamdar Bhi Nahi


9.talwar O Teer O Naiza O Khanjar Ke Waar Hai

ek Bekaso Ghareeb Par Paththar Ke Waar Hai


aao Najaf Se Ya Ali Imdaad Ke Liye

tanha Hai Ab Hussain Alamdar Bhi Nahi


10. Hogi Rafee Aaj To Fauje Sitam Ki Eid

pyasi Sakina Rehgai Saqqa Hua Shaheed


aao Najaf Se Ya Ali Imdaad Ke Liye

tanha Hai Ab Hussain Alamdar Bhi Nahi

aao Najaf Se Ya Ali Imdaad Ke Liye

tanha Hai Ab Hussain Alamdar Bhi Nahi