Kanz e Aza

Utho Kafile Hijab E Zainab

A noha for Hazrat Abbas (a.s), recited by Anjuman e Aon o Mohd. Lyrics in Roman Urdu.

Kaha Ye Zainab Ne Peet Kar Sar

guloo E Shabbir Per Hai Khanjar

bapa Hai Karbobala Me Mehshar


utho Kafile Hijab E Zainab


1-zameen Per Bikhre Pade Hai Laashe

falak Se Barse Hai Khoon Ke Dhaare

udaasiyo Ke Jahaan Hai Ghere

wahi Hai Tashnalabo Ke Naale

lahu Lahu Hai Ye Saare Manzar


utho Kafile Hijab E Zainab


2-hussain Bhai Lahu Me Tar Hai

na Zeen Par Na Zameen Par Hai magar Bhi Shukr E Khuda Me Sar Hai

kare Na Zibha Ye Mujhko Dar Hai

sawaar Seene Pe Hai Sitamgar


utho Kafile Hijab E Zainab


3-zameen E Karbal Pe Hai Qayamat

ragadte Hai Eideiya Jo Hazrath

sitam Ki Pyase Gale Pe Shiddat

wo Kund Khanjar Ki Hai Aziyyat

juda Hua Mere Bhai Ka Sar


utho Kafile Hijab E Zainab


4-rasul E Akram Ka Hai Nawasa

sitamgaro Ne Hai Jisko Ghera

kahi Se Paththar Kahi Se Bhaalaa

mere Ghareebul Watan Ko Maara

bachalo Aaqa Ko Apne Aakar


utho Kafile Hijab E Zainab


5-hai Ghash Me Aabid Jagaaun Kaise

pidar Ki Haalat Dikhaaun Kaise

mai Haal Ran Ka Sunaaun Kaise

mai Jalte Qaime Bhujaaun Kaise

lo Aai Shaame Ghareeba Ham Par


utho Kafile Hijab E Zainab


6- Behen Ko Apni Na Yu Rulaao

madad Ko Abbas Jald Aao

jalale Haidar Inhe Dikhaao

sitmagaro Se Hame Bachao

laeen Lete Hai Sar Se Chadar


utho Kafile Hijab E Zainab


7- Tha Jisko Naazo Se Maa Ne Pala

hai Teen Din Ka Wo Bhuka Pyaasa

badan Hai Zakhmo Se Chur Itna

ubalraha Hai Lahu Ka Darya

zameen E Karbobala Hai Muztar


utho Kafile Hijab E Zainab


8-ghire Hai Faujo Me Shaahe Wala

har Ek Jaanib Se Kar Ke Hamla

liye Hai Halqe Me Usko Aada

nahi Hai Koi Bachane Wala

hai Shor Hote Hai Zibha Sarwar


utho Kafile Hijab E Zainab