wafa ke shehr ke mehman hazrate abbas
hussaini fauj ke salaar hazrate abbas
hifazate harame sibte mustufa ke liye
tamaam shab rahe bedaar hazrate abbas
wafa ke shehr...
nazar may phir gaya naksha chacha bhatiji ka
alam hua jo namoodar hazrate abbas
wafa ke shehr...
kamar ko thaame huwe kehte jaate hai shabbir
kahan hai mera alamdar hazrate abbas
wafa ke shehr...
kabhi na maangungi pani khudara aajao
sakina karti hai iqraar hazrate abbas
wafa ke shehr...
tumhari bali sakina hai sakht mushkil may
jafa se neele hai ruksaar hazrate abbas
wafa ke shehr...
ridayein cheente hai sar se aada raando ki
nahi hai koi tarafdaar hazrate abbas
wafa ke shehr...
gala bandha hai rasan se sakina pyari ka
hai saans lena bhi dushwaar hazrate abbas
wafa ke shehr...
ye nauha wird e zaban tha anees sarwar ke
kahan ho mera wafadaar hazrate abbas
wafa ke shehr...