Kanz e Aza

Ya Ali Adrikni

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Anees Pehersari. Lyrics in Roman Urdu.

ya ali adrikni ya ali adrikni

shahe waala ka pidar hogaya chalni chalni

ya ali adrikni ya ali adrikni

khaynchte hai shahe deen seena e akbar se ani

ya ali adrikni…


choor zaqmon se hai tan aur kamar bhi kham hai

zauf ka aalam hai

waqt e nazha hai jawan bete ka aur be-watani

ya ali adrikni…


jalti reti pe liye baithe hai laashe akbar

mar na jaaye sarwar

daaghe farzand hai zaqmi hai ghareebul watani

ya ali adrikni....


ran se qasim ne pukara to shahedeen ne kaha

qair ho baare ilah

gul na ho jaye hawa jis may charaghe hasani

ya ali adrikni…


baal khole hue zainab ye dua karti thi

qair ho bhai ki

zaate shabbir se baakhi hai laqab panjatani

ya ali adrikni…


baabe saa'at pe to aa pahunchi hoo dar dar phir kar

lije beti ki khabar

jaa'un mai kis tarha darbar my jaan par hai bani

ya ali adrikni…


kabse hai haal e pareshan sawali darr par

ek aneese muztar

baat kuch uske muqaddar ki abhi tak na bani

ya ali adrikni…