Kanz e Aza

Zainab ne Hilakar Shana

A noha written by Anees Pehersari. Lyrics in Roman Urdu.

zainab ne hilakar shana kaha

ay sayyede sajjad utho

larza hai zameen e karbobala

ay sayyede sajjad utho

zainab ne hilakar...


gardoone lahoo barsaya hai

sooraj bhi grehan mein aaya hai

sar tan se hua sarwar ka juda

ay sayyede sajjad utho

zainab ne hilakar...


sar kaat ke noke naiza par

aada ne rakha hai ay dilbar

paamali ki zadd par hai laasha

ay sayyede sajjad utho

zainab ne hilakar...


farzande nabi par ghodon ki

mai kya karoon wo yalghaar hui

sab tukde badan sarwar ka hua

ay sayyede sajjad utho

zainab ne hilakar...


masoom sakina ke bunde

uff shirm ne is tarha kheenche

khoon kanon se ab tak hai behta

ay sayyede sajjad utho

zainab ne hilakar...


hai waqt kathan aankhein kholo

sadqe ho phupi moo se bolo

bedaar ho ghash se behre khuda

ay sayyede sajjad utho

zainab ne hilakar...


ukhba mein tho beshak paaega

dunya mein bhi kuch mil jaye sila

kehde jo anees itna zehra

ay sayyede sajjad utho

zainab ne hilakar...