zainab ne kaha lut gayi pardes mein aakar
ay saaqiye kausar
ghar jal gaya aur chin gayi sar se mere chadar
ay saaqiye kausar
dil thaame hue mai dar e qaima pa khadi thi
aur dekh rahi thi
tha halq pa sarwar ke rawan shimr ka khanjar
ay saqiye kausar
ghazi ka alam khoon mein dooba hua aaya
faryad khudaya
darya pa kate baazu e abbas e dilawar
ay saqiye kausar
athara baras paala bade chahon se jisko
mai kho chuki usko
armaan mere reh gaye sab khaak mein mil kar
ay saqiye kausar
zulm bhi dhaaya gaya mujh sogh nasheen par
majboor o hazeeen par
ek teer se cheda gaya halqe ali asghar
ay saqiye kausar
aada ne sakina pa zaki aisi jafa ki
bachi ne qaza ki
be-ghusl o kafan dafn hui dukhtare sarwar
ay saqiye kausar